Dil Ayubi

phir marhala-e-KHwab-e-bahaaran se guzar ja

Dil Ayubi

Tonk, Rajasthan, India

1929
phir marhala-e-ḳhvāb-e-bahārāñ se guzar jā
mausam hai suhānā to garebāñ se guzar jā
shīshe ke makāñ aur nazar ke mutahammil
dīvāna na ban shahr-e-nigārāñ se guzar jā
sab qatl ke asbāb baham haiñ sar-e-maqtal
aise meñ pas-o-pesh na kar jaañ se guzar jā
phir deñge vahī mashvara-e-tark-e-mohabbat
ahbāb-numā halqa-e-yārāñ se guzar jā
kuchh duur nahīñ manzil-e-maqsūd-e-tamannā
ik fāsla-e-qurb-e-rag-e-jāñ se guzar jā
ai 'dil' inheñ idrāk kahāñ namratiyoñ kā
jo kahte haiñ pal bhar meñ bayābāñ se guzar jā
Top Urdushayar.com