Dil Ayubi

anjum-o-mehr-o-gul-o-barg-o-saba kuchh bhi nahin

Dil Ayubi

Tonk, Rajasthan, India

1929
anjum-o-mehr-o-gul-o-barg-o-sabā kuchh bhī nahīñ
ḳhuub dekhā ba-ḳhudā ġhair-e-ḳhudā kuchh bhī nahīñ
vahshat-o-mastī-o-hairat ke sivā kuchh bhī nahīñ
hai jise us kā pata apnā pata kuchh bhī nahīñ
hastī-e-ālam-e-hushiyār ho ki ho apnā vajūd
sab kuchh ik vahm-e-musalsal ke sivā kuchh bhī nahīñ
ishq to zinda-e-jāved banā detā hai
ishq ke baab meñ mafhūm-e-fanā kuchh bhī nahīñ
kab se hai kaun hai kyuuñ hai vo kahāñ hai kyā hai
zāt-e-be-chūñ meñ ye sab chūn-o-charā kuchh bhī nahīñ
aur sab kuchh ho zamāne ko mubārak ai 'dil'
yaañ to dāman meñ mohammad ke sivā kuchh bhī nahīñ
Top Urdushayar.com