yādash-ba-ḳhair hai vahī chehra ḳhayāl meñ
sau jannateñ javān haiñ goyā ḳhayāl meñ
kis shaan se sharīk tirī anjuman meñ haiñ
baiThe hoñ jaise ham kahīñ tanhā ḳhayāl meñ
guzrā hai ishq hī meñ ye aalam bhī muddatoñ
thī shaam zehn meñ na saverā ḳhayāl meñ
dekhā thā ḳhvāb meñ unheñ nādim to kyā kaheñ
kyuuñ ab tak aa rahā hai pasīna ḳhayāl meñ
allāh re ye maqām tire tishna-kām kā
sūkhe paḌe haiñ saare hī dariyā ḳhayāl meñ
jugnū se yak-ba-yak jo fazā meñ chamak uThe
ye kaun thā abhī abhī kyā thā ḳhayāl meñ
ai 'dil' ajab vo shahr-e-sitam thā ki aaj tak
hai koī adh-khulā sā darīcha ḳhayāl meñ