ye fanā merī baqā ho jaise
tū hī chehre pe likhā ho jaise
tere hoñToñ pe tabassum aisā
phuul sahrā meñ khilā ho jaise
yuuñ pukārā hai kisī ne mujh ko
naam terā hī liyā ho jaise
us ne pherī jo nigāheñ to lagā
shīsha patthar pe girā ho jaise
har taraf lams hai zinda us kā
ghar meñ sadiyoñ vo rahā ho jaise
zahr mahbūb ke hāthoñ pā kar
yuuñ piyā maiñ ne davā ho jaise
vasl kī shaam kā ik ik lamha
merī muTThī meñ dabā ho jaise