kuchh aisā bhī to ho jaa.e kabhī aisā kare koī
banā.e ḳhud nasheman aur phir sahrā kare koī
tumhāre naam ke hamrāh merā naam le duniyā
mirā dil chāhtā hai phir mujhe rusvā kare koī
agar tū mil nahīñ saktā to kuchh tadbīr aisī ho
mirī āñkhoñ se tujh ko umr-bhar dekhā kare koī
ḳhirad par log nāzāñ haiñ junūñ par faḳhr hai mujh ko
junūñ se mere apnī aql kā saudā kare koī
ye fitrat kab bhalā insāniyat se mel khātī hai
safīna Dūbtā ho duur se dekhā kare koī
vo dil meñ jāguzīñ hai mustaqil hai jalva-farmā.ī
bhalā aise meñ phir kis tarah se pardā kare koī
hujūm-e-ġham sambhaltā hī nahīñ ai 'sham.a' ab mujh se
kabhī to kaash aisā ho mujhe tanhā kare koī