ḳhud se lipaT ke ro leñ bahut muskurā liye
ḳhushiyoñ se aaj dard ke pahlū nikāliye
us ne tirī nigāh se kyā raaz pā liye
ḳhud apne dil meñ us ne Thikāne banā liye
dāman meñ to gire the ka.ī phuul bhī magar
palkoñ se chun ke ham ne tire ġham uThā liye
ab tum na kah sakoge ki ham surḳh-rū nahīñ
apne lahū meñ aaj to ham bhī nahā liye
mehr-o-vafā ḳhulūs-e-tamannā milan kī aas
kuchh kam nahīñ ki ham ne ye motī bachā liye
da.avā thā jin ko apnī masīhā.ī par bahut
ai 'sham.a' un ke ham ne karam aazmā liye