manzil mile na koī bhī rasta dikhā.ī de
duniyā faqat ye khel tamāsha dikhā.ī de
rishtoñ kā ik hujūm thā maiñ DhūñDhtī rahī
hasrat liye hue koī apnā dikhā.ī de
mujh ko miTā de is tarah duniyā se ai ḳhudā
tārīḳh meñ bhī koī na mujh sā dikhā.ī de
us ne jalāyā mere nasheman ko phir kahā
hadd-e-nigāh tak tujhe sahrā dikhā.ī de
ye zindagī kī bāzīgarī tū bhī siikh le
kar kar ke qatl tū bhī masīhā dikhā.ī de
rishtoñ kā ḳhol oḌh ke milte haiñ log aaj
har aadmī mujhe yahāñ tanhā dikhā.ī de
kartā rahe junūñ ye ta.āqub sarāb kā
pyāse ko ḳhvāb meñ abhī dariyā dikhā.ī de
ai 'sham.a' kis ne dī thī tujhe aisī bad-duā
ghar meñ koī charāġh na jaltā dikhā.ī de