vo jo miltā thā kabhī mujh se bahāroñ kī tarah
aaj chubhtā hai nigāhoñ meñ vo ḳhāroñ kī tarah
vo bhī kyā shaḳhs hai jo qasr-e-tasavvur meñ mujhe
roz ārāsta kartā hai mazāroñ kī tarah
Dūbne hī nahīñ detā kabhī kashtī merī
ab bhī vo sāmne rahtā hai kināroñ kī tarah
laakh mahtāb mirī ziist meñ aa.e lekin
darmiyāñ tujh ko bhī dekhā hai sitāroñ kī tarah
us kī āñkhoñ ne ajab sehr kiyā hai ham par
rāt-bhar phirte rahe bāda-gusāroñ kī tarah
aap kī āñkhoñ se kuchh aur pata chaltā hai
aap dekhā na kareñ ham ko nazāroñ kī tarah
kis ko mālūm chhupā.e hai vo ḳhanjar kitne
vo jo zāhir meñ milā kartā hai yāroñ kī tarah
us ke chehre pe to narmī hai halāvat hai bahut
'sham.a' lahja hai magar us kā sharāroñ kī tarah