Abdullah Kamal

uski jam-e-jam aankhen shisha-e-badan mera

Abdullah Kamal

Muzaffarpur, Bihar, India

1948-2010
us kī jām-e-jam āñkheñ shīsha-e-badan merā
us kī band muTThī meñ saarā bāñkpan merā
maiñ ne apne chehre par sab hunar sajā.e the
faash kar gayā mujh ko saada pairahan merā
dil bhī kho gayā shāyad shahr ke sarāboñ meñ
ab mirī tarah se hai dard be-vatan merā
ek dasht-e-ḳhāmoshī ab mirā muqaddar hai
yaad be-sadā terī zaḳhm be-chaman merā
aao aaj ham donoñ apnā apnā ghar chun leñ
tum navāh-e-dil le lo ḳhitta-e-badan merā
roz apne ḳhvāboñ kā ḳhuun kartā rahtā huuñ
haa.e kin ġhanīmoñ se aa paḌā hai ran merā
gaañv kī havāoñ ne phir sandesa bhejā hai
muntazir tumhārā hai ḳhushbuoñ kā ban merā
Top Urdushayar.com