baḌā muḳhlis huuñ pāband-e-vafā huuñ
kisī kī sādgī par ro paḌā huuñ
mirī qīmat zamīn-o-āsmāñ hai
bahut anmol huuñ phir bhī bikā huuñ
chhalaktā jaam huuñ phir bhī huuñ pyāsā
maiñ apne aap meñ ik karbalā huuñ
na jaane guftugū kyā gul khilā.e
tumhārī ḳhāmushī se jal gayā huuñ
kitāb-e-dil ko dīmak lag ga.ī hai
tumhārā naam kyā hai DhūñDhtā huuñ
hazāroñ daaġh haiñ mere badan par
na jaane kis ke dil kā rāsta huuñ
'kamāl' is qatl-gāh-e-raushnī meñ
hazāroñ baar maiñ bujh kar jalā huuñ