sulag rahā hai koī shaḳhs kyuuñ abas mujh meñ
bujhegā kaise abhī sho.ala-e-nafas mujh meñ
ajiib dard sā jaagā hai baa.eñ paslī meñ
ajab sharār-e-talab sā hai pesh-o-pas mujh meñ
maiñ shāḳh shāḳh se lipTūñ shajar shajar chūmūñ
panap rahī hai ajab lazzat-e-havas mujh meñ
na koī naqsh-e-yaqīñ hai na koī aks-e-gumāñ
dhuāñ dhuāñ hai abhī se nayā baras mujh meñ
na ziist kī koī halchal na maut hī kī fuġhāñ
hai kohar kohar sā ik shahr-e-be-haras mujh meñ
bas ik parinda sā par phaḌphaḌā ke chīḳhtā hai
bahut udaas hai ab mausam-e-qafas mujh meñ
kabhī to guzre idhar se bhī tund mauj-e-havā
haiñ jam.a kitne hī mausam ke ḳhār-o-ḳhas mujh meñ