itnā yaqīn rakh ki gumāñ baaqī rahe
ek zarā kār-e-jahāñ baaqī rahe
baaqī rahe yādoñ kī ik qaus-e-quzah
yaanī mirī jā-e-amāñ baaqī rahe
shorish-e-ḳhūñ raqs-e-junūñ ḳhatm na ho
qahqaha-e-ham-nafasāñ baaqī rahe
aatā rahe yuuñ hī sadā mausam-e-gul
silsila-e-dil-zadagāñ baaqī rahe
qāfla-e-ġham guzrāñ kī bhī sunā
hausla-e-ham-safarāñ baaqī rahe
qaid-e-qafas shor-e-nafas kis ke liye
kis ke liye rishta-e-jāñ baaqī rahe
āñkhoñ se chhin jaa.eñ ik ik ḳhvāb magar
us kī talab dil kā dhuāñ baaqī rahe