dasht-o-sahrā phir se apnā.eñ bhī kyā
vahshatoñ ko apnī samjhā.eñ bhī kyā
dard hī ḳhvāboñ kā ḳhamyāza sahī
duur dasht-e-dard se jaa.eñ bhī kyā
aur kuchh lamhe Dubo deñ chaa.e meñ
yaar is garmī meñ ghar jaa.eñ bhī kyā
ye bahut kuchh to hai gardānā tumheñ
aur is se nīche ab aa.eñ bhī kyā
faisla kar degī ik mauj-e-havā
Dahtī dīvāroñ ko ham Dhā.eñ bhī kyā
shā.irī bāzīgarī to hai nahīñ
sho.abde yāroñ ko dikhlā.eñ bhī kyā