anā rahī na mirī mutlaq-ul-inānī kī
mire vajūd pe ik dil ne hukmarānī kī
karam kiyā ki bikharne diyā na us ne mujhe
mire junūñ kī hifāzat kī mehrbānī kī
pahāḌ kāTnā ik mashġhala thā bachpan se
kaḌe dinoñ meñ bhī teshe sī naujavānī kī
badan ki uḌne ko par taultā parinda sā
kisī kamān sī chaḌhtī nadī javānī kī
'kamāl' maiñ ne to dar se diye uThā.e nahīñ
uThā.ī us ne hī dīvār bad-gumānī kī