apnī āñkhoñ ko umīdoñ se sajā.e rakhnā
jaltī rātoñ meñ koī ḳhvāb bachā.e rakhnā
lauT kar ā.ūñgā phir gaañv tumhāre ik din
apne darvāze pe ik diip jalā.e rakhnā
ajnabī jaan ke patthar na svāgat ko baḌheñ
apnī galiyoñ ko mirā naam batā.e rakhnā
suune sāvan meñ satā.egī bahut purvā.ī
dard ko dil meñ magar apne dabā.e rakhnā
hijr kī tīra-shabī Thahrī hai taqdīr-e-visāl
merī yādoñ ke sitāroñ ko jagā.e rakhnā
ḳhush-naqābī kā bharam TūTne paa.e na 'kamāl'
ġham ko hoñToñ ke tabassum meñ chhupā.e rakhnā