bulandiyoñ ke dhundalke meñ thā ḳhudā sā lagā
jo maiñ qarīb se guzrā to vo shanāsā lagā
na koī jism thā us kā na koī chehra magar
jihat jihat se ubhartī huī sadā sā lagā
aqab meñ chhoḌtā aayā shikastagī kā ġhubār
ki sañg-e-mīl bhī mujh ko ik aa.ina sā lagā
bahut nasheb-o-farāz us ke tai kiye maiñ ne
vo sar se paañv talak ek rāstā sā lagā
yahī kahā thā ki tum sab badalte chehre ho
har ek shaḳhs mujhe phir ḳhafā ḳhafā sā lagā
sadā-e-āmad-o-shud bā.is-e-safar thī 'kamāl'
nafas nafas mujhe apne lahū kā pyāsā lagā