Abdullah Kamal

wada-e-wasl hai lazzat-e-intizar uTha

Abdullah Kamal

Muzaffarpur, Bihar, India

1948-2010
vāda-e-vasl hai lazzat-e-intizār uThā
aur phir umr bhar ik ġham-e-e'tibār uThā
us kā ġham mere dil meñ hai ab bāñsurī kī tarah
naġhma-e-dard se zaḳhma-e-iḳhtiyār uThā
maiñ uThā to falak se bahut chāñd taare gire
aur sahrā-e-jāñ meñ bahut ġham-e-ġhubār uThā
kuchh rahā mere dil meñ to ik iztirāb rahā
maiñ sadā apnī hī ḳhaak se be-qarār uThā
ai ḳhudā rizq-e-parvāz de shahparoñ ko mire
mere atrāf se āsmāñ kā hisār uThā
tū mujhe āsmāñ de na de be-zamīn na kar
dasht-e-jāñ se mire mausam-e-tāb-kār uThā
yā mirī aañkh se chhīn le sab ḳhazāna-e-ḳhvāb
yā mirī ḳhaak se zindagī kā fishār uThā
Top Urdushayar.com