lafzoñ meñ ik na.e safar kā kartā hai āġhāz badan
nuqta nuqta phail ke mujh ko detā hai āvāz badan
har-pal TuuT bikharnā ḳhadsha Thes lage to kaañp uThtā hai
shīsha shīsha ruup liye hai patthar kā dam-sāz badan
uḌtā bādal Dhaltī chhāyā ik ik pal meñ sau sau kaayā
uḌte roz-o-shab se aage kartā hai parvāz badan
anjānī an-dekhī sadā.eñ aksar dastak de jaatī haiñ
mujh ko barahna kar detā hai aksar ye ġhammāz badan
kitne hātim bhaTke barsoñ lauh-e-tilism-e-rāz liye
phir bhī ik asrār kā sahrā phir bhī hai ik raaz badan
ik ik taar nafas se ab tak lipTī hai us lams kī ḳhushbū
ik din shāyad Takrāyā thā mujh se koī shahnāz badan