Abdullah Kamal

qadam qadam pe naya imtihan hai mere liye

Abdullah Kamal

Muzaffarpur, Bihar, India

1948-2010
qadam qadam pe nayā imtihāñ hai mere liye
ye shahr aaj bhī ik haft-ḳhvāñ hai mere liye
nahīñ hai ab koī ehsās-e-roz-o-shab bhī mujhe
bas ek arsa-e-paikār-e-jāñ hai mere liye
na rahguzār-e-shajar-dār hai na āb-o-sahāb
ye tez dhuup ye sahrā-e-jāñ hai mere liye
maiñ ik sitāra huuñ us ke falak se TuuTā huā
vo dhund hotī huī kahkashāñ hai mere liye
sameT letī hai mujh ko maiñ TūTā-phūTā sahī
ye raat ḳhirqa-e-āvārgāñ hai mere liye
mahakte rahte haiñ ḳhvāboñ meñ hijratoñ ke gulāb
na.ī zamīn nayā āsmāñ hai mere liye
ubuur karnā hai dariyā-e-shor mujh ko 'kamāl'
aur ek kashtī-e-be-bādbāñ hai mere liye
Top Urdushayar.com