Abdullah Kamal

abhi gunah ka mausam hai aa shabab mein aa

Abdullah Kamal

Muzaffarpur, Bihar, India

1948-2010
abhī gunāh kā mausam hai aa shabāb meñ aa
nasha utarne se pahle mirī sharāb meñ aa
dhanak sī ḳhvāb sī ḳhushbū sī phir baras mujh par
na.ī ġhazal kī tarah tū mirī kitāb meñ aa
uThā na der tak ehsān mausam-e-gul kā
maiñ zindagī huuñ mujhe jī mire azaab meñ aa
vo mere lab ke parinde vo terā jhīl-badan
bujhā na pyaas mirī tū magar sarāb meñ aa
tire darīche se hai duur merā darvāza
agar tū dard hai merā to dil ke baab meñ aa
maiñ tujh ko jāgtī āñkhoñ se chhū sakūñ na kabhī
mirī anā kā bharam rakh le mere ḳhvāb meñ aa
Top Urdushayar.com