Abdullah Kamal

bina-e-arz-o-falak harf-e-ibtida hun main

Abdullah Kamal

Muzaffarpur, Bihar, India

1948-2010
binā-e-arz-o-falak harf-e-ibtidā huuñ maiñ
bikhar gayā to samajh lo ki intihā huuñ maiñ
yūñhī sulagte raho aag kī qabā huuñ maiñ
tumheñ bachā.uñgā kyā ḳhud sulag rahā huuñ maiñ
uThā.e phirtā huuñ be-shaḳhsiyat badan apnā
aur apne gum-shuda chehre ko DhūñDhtā huuñ maiñ
ye kohar kohar se chehre dhuāñ dhuāñ āvāz
tumhāre shahr meñ shāyad abhī nayā huuñ maiñ
lahū lahū sī khañDar kī tamām īñTeñ haiñ
kahāñ se niklūñ ki ik āh-e-nā-rasā huuñ maiñ
na.ī hai mashq na jaane kahāñ pe gir jā.ūñ
nafas kī Dor pe kartab dikhā rahā huuñ maiñ
'kamāl' jhuuT hai yaaro faqat fareb hai vo
'kamāl' sach ko abhī tak talāshtā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com