Abdullah Kamal

ajib shaKHs hai dharti pe aasman sa hai

Abdullah Kamal

Muzaffarpur, Bihar, India

1948-2010
ajiib shaḳhs hai dhartī pe āsmān sā hai
ḳhudā maqām nahīñ phir bhī lā-makān sā hai
uge jo sub.h kā sūraj to ik machine hai vo
Dhale jo shaam to phir jism kī takān sā hai
sukūt-e-dasht-e-tamannā hai us ko jā-e-panāh
navāh-e-āriz-o-gesū meñ be-nishān sā hai
barahna rahtā hai shamshīr-e-be-amāñ kī tarah
har ek shaḳhs yahāñ us se bad-gumān sā hai
uThā na pā.egā yak lamha-e-nashāt vajūd
vo apnī teġh-e-nafas se lahūluhān sā hai
nigāh-dār-e-falak tā-falak rahā vo 'kamāl'
aur ab zamīn pe TuuTī huī kamān sā hai
Top Urdushayar.com