bhalā ye kaun hai mere hī andar mujh se ranjish meñ
vo mujh ko hī gañvā baiThā na jaane kis kī ḳhvāhish meñ
samundar ek Thahrā sā abhī tak hai tire andar
nadī ban kar mirā bahnā tujhe milne kī koshish meñ
darīche par khaḌe ho kar tujhe bas sochte rahnā
bahut se kaam baaqī hai bahut thoḌī sī bārish meñ
mirā vo ruuTh kar ronā tirā hañs ke chale jaanā
maiñ tujh ko bhuul na jā.ūñ tujhe paane kī sāzish meñ
kahīñ vo chiir kar terā hī siina bhaag nā nikle
use āzād kar do ab jo barsoñ se hai bandish meñ