charāġh-e-ishq jaltā hai hamāre qalb-e-vīrāñ meñ
chale aao abhī tak raushnī hai is bayābāñ meñ
nahīñ ai dost in ashkoñ kā koī dekhne vaalā
daraḳhshāñ haiñ jo anjum kī tarah chāk-e-garebāñ meñ
kuchh aise ġham bhī hote haiñ jo ashkoñ meñ nahīñ Dhalte
sharāre ban ke lekin raqs karte haiñ rag-e-jāñ meñ
banānā thā jise mansūr use dār-o-rasan baḳhshā
use yūsuf banāte haiñ jise rakhte haiñ zindāñ meñ
vo kashtī aaj Duubā chāhtī hai paas sāhil ke
salāmat ek muddat tak rahī jo bahr-e-tūfāñ meñ
zamāne meñ faqat ek bebasī kā saath hotā hai
koī apnā nahīñ hotā kabhī hāl-e-pareshāñ meñ