husūl-e-ġham ba-alfāz-e-digar kuchh aur hotā hai
dil-e-barbād kā azm-e-safar kuchh aur hotā hai
tulū-e-sub.h kī kirneñ bahut hī ḳhuub haiñ lekin
jamāl-e-shahr-e-dil vaqt-e-sahar kuchh aur hotā hai
masā.ib kis ko kahte haiñ tumhīñ jaano tumhīñ samjho
jahāñ vaalo hamārā dil jigar kuchh aur hotā hai
sharāb-e-talḳh kyā hai zahr-e-qātil tak piyā ham ne
magar in mast nazroñ kā asar kuchh aur hotā hai
muqābil aa.ine ke aa.ina bhī ham ne dekhā hai
ghaTāoñ meñ mirā rashk-e-qamar kuchh aur hotā hai
jahāñ pābandiyāñ lāzim na hoñ sajda-guzāroñ par
ibādat ke liye vo sañg-e-dar kuchh aur hotā hai
'jalīl' aksar ye paayā imtiyāz-e-ishq meñ ham ne
idhar kuchh aur hotā hai udhar kuchh aur hotā hai