Jaleel Allahabadi

mera anis mera gham hai tum na sath chalo

Jaleel Allahabadi

mirā aniis mirā ġham hai tum na saath chalo
tumhārā aur hī aalam hai tum na saath chalo
ajab tazād kā mausam hai tum na saath chalo
chhupā.e sho.aloñ ko shabnam hai tum na saath chalo
ḳhushī to ġharq-e-ġham-e-rozgār hai merī
lab-e-hayāt pe mātam hai tum na saath chalo
har ek moḌ pe jalte haiñ ġhurbatoñ ke charāġh
qadam qadam pe nayā ġham hai tum na saath chalo
zamīn ḳhuun ugaltī hai charḳh añgāre
nizām-e-dahr bhī barham hai tum na saath chalo
abhī jalī to hai tahzīb-e-nau kī sham.a magar
abhī ye raushnī maddham hai tum na saath chalo
jigar ke ḳhuuñ se banāyā hai maiñ ne surḳh jise
vo mere haath meñ parcham hai tum na saath chalo
abhī banāne haiñ aa.iin dār-o-zondāñ ke
ye farz ham pe muqaddam hai tum na saath chalo
har ek taar laraztā hai sāz-e-hastī kā
ajiib vaqt kā sargam hai tum na saath chalo
hai chīra dast-e-zamāna ye un se kah do 'jalīl'
tumhārī zulf bhī barham hai tum na saath chalo
Top Urdushayar.com