nahīñ ho tum to har shai ajnabī ma.alūm hotī hai
bahār-e-zindagī kāñToñ bharī ma.alūm hotī hai
charāġh-e-zīst kī lau thartharātī hai chale aao
mujhe har saañs apnī āḳhirī ma.alūm hotī hai
batā.ūñ kyā tumhārī chashm-e-ulfat kī asar-rezī
rag-o-pai meñ utartī barq sī ma.alūm hotī hai
sitam mujh par usī andāz se paiham kiye jaao
tumhārī dushmanī bhī dostī ma.alūm hotī hai
jahāñ dekhā kisī ne bhī hameñ chashm-e-mohabbat se
palaT kar zindagī aa.ī huī ma.alūm hotī hai
tavāf-e-dair-o-ka.aba se yahī hāsil huā mujh ko
mohabbat hī sarāpā bandagī ma.alūm hotī hai
'jalīl' ik sham-e-hasrat bujh ga.ī to ġham nahīñ is kā
abhī dāġh-e-jigar meñ raushnī ma.alūm hotī hai