mujhe tum se mohabbat ho ga.ī hai
ġham-e-duniyā se fursat ho ga.ī hai
hamārā kaam hai motī luTānā
hameñ rone kī aadat ho ga.ī hai
jahāñ meñ qadr-o-qīmat mere ġham kī
tire ġham kī badaulat ho ga.ī hai
dil-e-shā.ir ke naġhmāt hasīñ se
tire jalvoñ kī shohrat ho ga.ī hai
kahāñ haiñ misr ke bāzār vaale
diloñ kī nisf qīmat ho ga.ī hai
nikalte haiñ mire ahbāb bach kar
mohabbat bhī siyāsat ho ga.ī hai
'jalīl' ab dil nahīñ miltā kisī se
ajiib apnī tabī.at ho ga.ī hai