isī baa.is to duniyā kī musībat ġham nahīñ hotī
ye duniyā ġham to detī hai sharīk-e-ġham nahīñ hotī
charāġhoñ meñ lahū insāniyat kā jagmagātā hai
magar insāniyat kī chashm-e-kam pur-nam nahīñ hotī
ḳhushī mahsūs kartā huuñ to duniyā saath detī hai
musībat meñ magar āmāda-e-mātam nahīñ hotī
ḳhushī kī sham.a to ai dost zad meñ aa bhī jaatī hai
magar dāġh-e-jigar kī raushnī maddham nahīñ hotī
salīqa chāhiye āvāz ko pahchān lene kā
navā-e-shā.irī har dam navā-e-ġham nahīñ hotī
'jalīl' un se bichhaḌ kar ik zamāna ho gayā lekin
abhī tak mere ashkoñ kī ravānī kam nahīñ hotī