ishq meñ ishq kā unvāñ nahīñ dekhā jaatā
dard meñ dard kā darmāñ nahīñ dekhā jaatā
ālam-e-ḳhvāb-e-pareshāñ nahīñ dekhā jaatā
dil ko ehsās-ba-dāmāñ nahīñ dekhā jaatā
un se kah de koī vo muuñd leñ āñkheñ apnī
jin se nairañg-e-gulistāñ nahīñ dekhā jaatā
be-ḳhudī merī vahāñ laa.ī jahāñ phir dil se
ālam-e-hosh ko giryāñ nahīñ dekhā jaatā
merī mastī ko jo samjhe haiñ ba-nām-e-mastī
un se paimāna-e-insāñ nahīñ dekhā jaatā
in ḳhizāñ-āshnā āñkhoñ se ba-rañg-e-fitrat
kaif-e-hañgām-e-bahārāñ nahīñ dekhā jaatā
'zeb' kyā hai ye nizām-e-ġham-e-daurāñ tauba
inqilāb-e-ġham-e-daurāñ nahīñ dekhā jaatā