Zeb Bareilwi

niyaz-o-naz ke saghar khanak jaen to achchha hai

Zeb Bareilwi

niyāz-o-nāz ke sāġhar khanak jaa.eñ to achchhā hai
tire mai-kash tire dar par bhaTak jaa.eñ to achchhā hai
sharāre soz-e-paiham ke bhaḌak jaa.eñ to achchhā hai
mohabbat kī hasīñ rāheñ chamak jaa.eñ to achchhā hai
sharāb-e-shauq ke sāġhar chhalak jaa.eñ to achchhā hai
fazā.eñ bāda-ḳhāne kī mahak jaa.eñ to achchhā hai
tire hañsne se kaliyoñ ke hasīñ rañg-e-tabassum meñ
ye qatre ḳhūn-e-armāñ ke chhiTak jaa.eñ to achchhā hai
numāyāñ haiñ sar-e-mizhgāñ jo māyūsī ke aalam meñ
vo aañsū tere dāman par Tapak jaa.eñ to achchhā hai
sar-e-bazm-e-mohabbat kaash un āñkhoñ ke darpan meñ
mohabbat ke hasīñ manzar chamak jaa.eñ to achchhā hai
sar-e-mai-ḳhāna saaqī aaj izn-e-ām ho jaa.e
tire mai-nosh pī pī kar bahak jaa.eñ to achchhā hai
mohabbat meñ mire betāb dil kī dhaḌkaneñ hamdam
tirī āġhosh meñ aa kar jo thak jaa.eñ to achchhā hai
mazāq-e-bāda-noshī tishna-e-ehsās hai saaqī
na.e andāz se sāġhar khanak jaa.eñ to achchhā hai
mohabbat meñ nahīñ mumkin pahuñchnā hadd-e-manzil tak
musāfir terī rāhoñ meñ bhaTak jaa.eñ to achchhā hai
numāyāñ hoñ na āñkhoñ se kahīñ ismat mohabbat kī
ye sho.ale dil ke dil hī meñ dahak jaa.eñ to achchhā hai
jo haiñ murjhā.ī kaliyāñ 'zeb' dāmān-e-gulistāñ meñ
havā ke ruḳh badalne se mahak jaa.eñ to achchhā hai
Top Urdushayar.com