ishq kī manzil meñ ab tak rasm mar jaane kī hai
husn kī mahfil meñ ab bhī ḳhaak parvāne kī hai
ārzū-e-shauq kaif-e-mustaqil paane kī hai
dil kī har taḳhrīb meñ ta.amīr vīrāne kī hai
mehr-e-qabl-e-shām kī raftār mastāne kī hai
matl.a-e-rañg-e-shafaq meñ shaan maiḳhāne kī hai
sham-e-mahfil bhī nahīñ aur ahl-e-mahfil bhī nahīñ
nāzish-e-mahfil sahar tak ḳhaak parvāne kī hai
ho sakegī kis tarah sarf-e-qalam rūdād-e-dil
ab bhī zer-e-ġhaur surḳhī ġham ke afsāne kī hai
kyā sukūn-e-kaif de rañgīn māhaul-e-qafas
har ghaḌī pesh-e-nazar tasvīr kāshāne kī hai
chand lamhoñ ko chale aanā mire marne ke ba.ad
kyā zarūrat jīte-jī taklīf farmāne kī hai
aur kyā hotā ziyāda is se ehsās-e-vafā
sham.a ke dāman meñ koī shart parvāne kī hai
bandagī mashrūt ho saktī nahīñ ahl-e-nazar
''is meñ koī shart ka.abe kī na but-ḳhāne kī hai
dāstān-e-ārzū hai naġhma-e-ahd-e-shabāb
is kī surḳhī par zarūrat ġhaur farmāne kī hai
markaz-e-ahl-e-nazar hai 'zeb' nairañg-e-ḳhayāl
phir kamī kyuuñ manzar-e-fitrat pe chhā jaane kī hai