kuchh aise hāl-o-māzī tere afsāne bhī hote haiñ
jo har māhaul-e-mustaqbil ko dohrāne bhī hote haiñ
jo ehsās-e-javānī kī hasīñ ḳhalvat meñ palte haiñ
vo jalve manzar-e-jazbāt par laane bhī hote haiñ
ḳhamoshī dāstāñ hai ismat-e-unvān-e-hastī kī
ḳhamoshī meñ nihāñ ismat ke afsāne bhī hote haiñ
harīm-e-dil meñ tujh ko kāvish-e-ġham ham bhī pūchheñge
tasavvur meñ tire aksar sanam-ḳhāne bhī hote haiñ
kabhī tūfāñ meñ ruḳh maujeñ badal detī haiñ jab apnā
safīne sāhiloñ par lā ke Takrāne bhī hote haiñ
aqīdat shart hai ai 'zeb' jazbāt-e-aqīdat kī
haram kī raah meñ ta.amīr but-ḳhāne bhī hote haiñ