vo naala hī nahīñ jo pur-afshāñ nahīñ huā
vo dāġh-e-dil hī kyā jo numāyāñ nahīñ huā
kab vahshatoñ se dast-o-garebāñ nahīñ huā
kab dil junūñ ke haath pareshāñ nahīñ huā
be-kaifiyoñ ke kaif meñ ham aise mast the
ehsās-e-lazzat-e-ġham-e-daurāñ nahīñ huā
nok-e-mizha pe qatra-e-ashk aa ke jam gayā
afsos vo bhī raunaq-e-dāmāñ nahīñ huā
merī junūñ-navāzī-e-paiham ke shaġhl se
mānūs kyuuñ dimāġh-e-gulistāñ nahīñ huā
tahrīk-e-iztirāb-e-musalsal to dekhiye
dam bhar sukūn-e-qalb kā sāmāñ nahīñ huā
dil hī nahīñ vo dil jo haqīqat meñ ham-nashīñ
ā.īna-dār-e-azzat-e-irfāñ nahīñ huā
afsāna-e-niyāz kī tamhīd kyā kahūñ
zauq-e-vafā bhī zīnat-e-unvāñ nahīñ huā
ta.abīr jis kī zeb-e-nashāt-e-davām ho
aisā to koī ḳhvāb-e-pareshāñ nahīñ huā