is adā se ishq kā āġhāz honā chāhiye
soz bhī dil meñ ba-qadr-e-sāz honā chāhiye
jab mohabbat ko sarāpā raaz honā chāhiye
kyuuñ shikast-e-dil kī phir āvāz honā chāhiye
aap khul jā.egā ye bāb-e-qafas ai ham-nashīñ
dil meñ paidā jur.at-e-parvāz honā chāhiye
har navā-e-ārzū ko iztirāb-e-shauq meñ
dil ke har parde se ham-āvāz honā chāhiye
izn-e-jalva mil chukā hai ab tujhe a chashm-e-shauq
kāmyāb-e-jalva-gāh-e-nāz honā chāhiye
ishq se be-e'tinā.ī par kabhī ifshā na ho
itnā sanjīda mirā hamrāz honā chāhiye
jo mire jazbāt kā iz.hār tak hone na de
husn ko itnā zamāna-sāz honā chāhiye
har ḳhalish dil kī binā-e-kaif kā unvān ho
soz meñ shāmil nashāt-e-sāz honā chāhiye
mere ilhām-e-suḳhan meñ faiz hai sīmāb kā
'zeb' bazm-e-sher meñ mumtāz honā chāhiye