bajā ke us ne riyāzat kī intihā kar dī
magar ḳhayāl kī lau sher se judā kar dī
pas-e-hurūf koī dil kī vārdāt na thī
so ḳhush-ḳhatī se hī tahrīr ḳhushnumā kar dī
na dekhī us ne kabhī lauh-e-dil pe abjad-e-ishq
to chashm-o-āri-o-lab se ġhazal bapā kar dī
koī bhī nuqta-e-ḳhat zindagī pe ban na sakā
raqam kahīñ se ye tamsīl-e-dilrubā kar dī
ye us ke harf haiñ āvārgān-e-shahr-e-suḳhan
mire ḳhayāl ne us ko zamīñ atā kar dī