har qadam ik ḳhat-e-e.ajāz meñ rakkhe hue haiñ
vo ram-o-raft kis andāz meñ rakkhe hue haiñ
umr bhar un ke ta.āqub meñ rahe aur khulā
ḳhāk-paimā.ī ko āġhāz meñ rakkhe hue haiñ
ek rasmī sā ta.āruf thā mulāqāt na thī
aur ham saada use raaz meñ rakkhe hue haiñ
qumrī-o-bulbul-o-tā.ūs-o-rubāb-o-nai-o-chañg
sab usī husn ko āvāz meñ rakkhe hue haiñ
ye jo palkoñ meñ dam-e-shab haiñ chale aa.e charāġh
kisī mahtāb ke andāz meñ rakkhe hue haiñ
vo ruḳh-e-husn-e-samā.at hai kisī aur taraf
ham abas dard ko āvāz meñ rakkhe hue haiñ