agarche maiñ ḳhat-e-jāda pe ik gard-e-safar huuñ
khaTaktā huuñ magar phir bhī ki manzil kī ḳhabar huuñ
ye mauj-e-ḳhūñ hai sairābī-e-dil kā ik ishāra
so ik ḳhāk-e-numū-rafta pe hī mahv-e-safar huuñ
ye umr-e-ḳhāk-paimā ik tamannā se bhī kam hai
so kitnī ḳhvāhishoñ se maiñ abhī tak be-ḳhabar huuñ
khule haiñ rañg-e-imkānāt ā.inda ke mujh par
nirālī merī ḳhushbū hai maiñ miTTī kā shajar huuñ
jamāl-e-sā.at-e-sad-rañg ko maiñ sher kar duuñ
maiñ kab se is junūñ-añgez ke zer-e-asar huuñ
tah-e-satar-e-tamannā dekh luuñ dil kā taḌapnā
ziyāda to nahīñ itnā to maiñ sāhib-e-nazar huuñ