har irāda sīna-e-shamshīr meñ Duubā huā
haal hai kis nashsha-e-tasḳhīr meñ Duubā huā
aañkh to ab tak tilism-e-ḳhāl-o-ḳhad kī hai asiir
dil nikaltā hī nahīñ tasvīr meñ Duubā huā
harf to saare ke saare be-sadā mujh ko lage
ḳhat agarche thā bahut tahrīr meñ Duubā huā
bām-e-dar ke TūTne meñ hī kahīñ maujūd hai
ek imkāñ ḳhvāhish-e-ta.amīr meñ Duubā huā
vo achānak sāmne aayā to mujh ko yuuñ lagā
ḳhvāb thā jaise koī ta.abīr meñ Duubā huā
khīñch lā.eñge use 'jāved'-ahmad ek din
adl hai kis halqa-e-zanjīr meñ Duubā huā