kyuuñ aa ga.e haiñ bazm-e-zuhūr-o-numūd meñ
āzād mard ho ke rahe ham quyūd meñ
sālik hai kyuuñ taḳhayyul-e-tark-e-vajūd meñ
naqsh-e-suvar kā rañg hai tere shuhūd meñ
jo aa ga.e tajallī-e-tanzīh-e-zāt meñ
mahdūd kis tarīq se hoñge hudūd meñ
rāz-e-darūn-e-parda ze-rindān-e-mast purs
sālik hai kyuuñ hijāb-e-shuhūd-o-vajūd meñ
arinī o lan-tarānī kā sab raaz khul gayā
kyā nashsha-e-ġharīb hai sharb-ul-yahūd meñ
ai gul jahāñ meñ jin ko tirā ishq ho gayā
vo ḳhaar se khaTakte haiñ chashm-e-husūd meñ
mash.hūr-e-ḳhalq jo hai vo maqbūl-e-haq nahīñ
kyuuñ ahmaqoñ ko naaz huā hai numūd meñ
taa.at nahīñ hai vo ki jo ho be-huzūr-e-qalb
ai shaiḳh kyā dharā hai rukū-o-sujūd meñ
hai bul-ajab ye zamzama-e-saut-e-sarmadī
kis tarah aa.e ma.ariz-e-guft-o-shunūd meñ
suufī ye sahv mahv hue sadd-e-bāb-e-uns
kyā imbisāt kār-gah-e-hast-o-būd meñ
tār-e-nafas se hai tan-e-ḳhākī basā huā
hai ankabūt lipTī huī tār-o-pūd meñ
suufī yahī hai nūr-e-savād-e-hijāb-e-qalb
zulmat huī jo sīna-e-sozāñ ke duud meñ
faiz-e-nigāh-e-rahbar-e-kāmil kā hai asar
'sāqī' hai mahv tā.at-e-rabb-e-vadūd meñ