Pandit Jawahar Nath Saqi

shahid-e-arman paDe hain bismil khaDa wo talwar ka dhani hai

Pandit Jawahar Nath Saqi

shahīd-e-armāñ paḌe haiñ bismil khaḌā vo talvār kā dhanī hai
idhar to ye qatl-e-ām dekhā udhar vo kaisī kaTā-chhanī hai
huā hai nairañg aaj kaisā ye dil meñ qātil ke kyā Thanī hai
jidhar se guzrā zabāñ se niklā ye kushtanī hai vo kushtanī hai
bigaḌ ke ham ko bigāḌ Daalā sañvārnā hī tumheñ na aayā
bano jo munsif batā.eñ dilbar ki is bigaḌne se kyā banī hai
kabhī hañsātī hai yaad terī kabhī rulātā hai hijr terā
ye qābil-e-dīd hai tamāshā ye sair-e-be-mehr dīdanī hai
sunā hai maqtal meñ aaj koī qatīl-e-hasrat shahīd hogā
huī jo shohrat ye shahar meñ hai har ik taraf ek sansanī hai
karam hai dariyā-diloñ kī zīnat kahāñ baḳhīloñ kī hai ye tīnat
use tavañgar nahīñ kaheñge jo koī mohtāj-e-dil ġhanī hai
shikast-e-paimāñ kā ham ko aadī kiyā hai ik mast-e-nosh-e-lab ne
ba-maslahat ham hue haiñ taa.ib ye tauba āḳhir shikastnī hai
dikhā ke ham ko jamāl-e-ra.anā kiyā hai kyuuñ rah-navard-e-vahshat
bane the ḳhud rahnumā hamāre ye rahbarī meñ bhī rahzanī hai
tarīq un kā hī sulh-e-kul hai jo be-hama bā-hama nazar haiñ
hameñ ye bartāv ne dikhāyā ki dostī meñ bhī dushmanī hai
vafā-shi.ārī hai jāñ-nisārī hai uzr-e-shikva na arz-e-matlab
hamīñ haiñ ik be-nazīr tālib harīf jo hai vo yak-fanī hai
vo aayā turbat pe bevafā gul har ik se afsurda ho ke pūchhā
ye kis kī mash.had pe hai charāġhāñ jo ibrat-añgez raushnī hai
fanā-e-qalbī hai fat.h-e-ainī huā hai gar mahv sharh-e-sadrī
yahī hai miftāh-e-dil-kushā.ī ye kashf-e-bātin kī jāñkanī hai
hue jo ye mubtalā-e-ulfat asiir dām-e-visāl ke haiñ
havā-e-zulf-e-ḳhayāl-e-jānāñ banī huī tauq-e-gardnī hai
ye kis qalandar ko maar Daalā ġhazab kiyā jāma-posh-e-naḳhvat
khaḌā huā ro rahā hai jazba girī huī pāk-dāmanī hai
kabhī na hoñge murīd-e-jiddat nahīñ haiñ mushtāq-e-husn-e-bid.at
hamārā mashrab hai sūfiyāna hamārā maz.hab sanātanī hai
kiyā hai ibrat-misāl kaisā ḳhayāl-e-ibrat-nazar ne ham ko
kareñ ta.alluq kisī se kyā ham jo shakl dekhī guzishtanī hai
sifāt meñ zaat hai numāyāñ huī vo bāliġh-nazar hai nisbat
kiyā hai mahv-e-jamāl-e-jānāñ ye sair-qalbī kī raushnī hai
na hoñ ġharābt-asar ye ai dil nuqūsh-e-nairañg-e-shān-e-fitrat
koī huā be-niyāz-e-ālam koī hai muflis koī ġhanī hai
hue na īsār o buzl se ai karīm ham mustafīz ab tak
tumhārā sheva jo hai saḳhā kā pasand-e-aḳhlāq-e-mohsinī hai
firāqe-e-gul se jo nāla-kash hai qafas meñ bulbul shahīd-e-jalva
bahār-e-gulshan ḳhizāñ-numā hai junūñ-zada abr-e-bahmanī hai
milā na jām-e-sharāb 'sāqī' koī qadah bañg kā atā ho
hamāre pīr-e-muġhāñ ḳhizar haiñ subū meñ sabzī bhī to chhanī hai
Top Urdushayar.com