kis rañg meñ bayān kareñ mājrā-e-qalb
dekhā jo ham ne jalva-e-hairat-fazā-e-qalb
vo jāntā hai vus.at-e-mashrab ke raaz ko
dekhā hai jis ne ālam-e-be-intihā-e-qalb
yārab ye qalb-e-hai.at-e-qalbī ajiib hai
nairañg dekhte haiñ ye kyā ai ḳhudā-e-qalb
ye zamzama tuyūr-e-ḳhush-āhañg kā nahīñ
hai naġhma-sañj bulbul-e-rañgīñ-navā-e-qalb
raushan-zamīr haiñ ye tire ḳhāksār-e-ishq
rakhte haiñ faiz-e-ishq se nūr-o-safā-e-qalb
sālik baqā-e-ishq use kab nasīb ho
jis ke sulūk meñ na huī ho fanā-e-qalb
tābāñ hai dil meñ mahr-e-daraḳhshān-e-ma.arifat
nūr-ul-qulūb hai ye hamārī ziyā-e-qalb
ushshāq jo tasavvur-e-barzaḳh ke ho ga.e
aatī hai dam-ba-dam ye unhīñ ko sadā-e-qalb
qalb-e-shahīd meñ hai tajallī-e-husn-e-yār
mushtāq-e-jalva kyuuñ na hoñ dil se fidā-e-qalb
sāhab-diloñ ko haq ne diyā hai huzūr-e-qalb
maqbūl kis tarah se nahīñ ho duā-e-qalb
ye shauq-o-ram kī bhūl-bhulayyāñ ajiib hai
nairañg-e-rañg hai haram-e-dil-kushā-e-qalb
jis par paḌī jahāñ meñ abul-vaqt kī nigāh
us ko milā hai aa.ina gītī-numā-e-qalb
haiñ āftāb nār-e-mohabbat ke soḳhta
sohbat meñ un kī hotī hai 'sāqī' jilā-e-qalb