milte nahīñ ho ham se ye kyā huā vatīrā
milne lagā hai shāyad ab tum se koī ḳhīrā
āñkhoñ hī meñ uḌāyā naqd-e-dil-o-jigar ko
vo shoḳh dil-rubā hai kaisā aThā.ī-gīrā
ulfat kā jurm be-shak sarzad huā hai ham se
is ko saġhīra samjho chāhe ise kabīrā
maidān-e-hashr terā kūcha banā hai qātil
jaatā hai ab jo koī aatā hai qash.arīrā
girvīda kar liyā hai naira.gī-e-nazar ne
kaisī huī fusūñ-gar vo shoḳh chashm-e-gīrā
us shoḳh dil-rubā par kyūñkar na hoñ fidā ham
saj-dhaj huī nirālī bāñdhā jo us ne chīrā
minnat-pazīr us ke āḳhir ko ho ga.e ham
jo mudda.ā thā apnā us ne kiyā pazīrā
shāġhil jo ho ga.e haiñ mahmūd āqibat haiñ
sultāna shaġhl-e-shab hai din kā huā nasīrā
the shefta jo 'sāqī' ik mast-e-nosh lab ke
maiḳhāne hī ke andar apnā banā ḳhatīrā