mujh se kahte ho kyā kaheñge aap
jo kahūñgā to kyā suneñge aap
kyā bayān-e-shab-e-firāq kareñ
na sunā hai na ab suneñge aap
nahīñ khultā sabab tabassum kā
aaj kyā koī bosa deñge aap
nāsehā aap ḳhud hī nādāñ haiñ
kyā nasīhat mujhe kareñge aap
dam-e-āḳhir ye thā mire lab par
kis pe jaur-o-sitam kareñge aap
zulm kī kuchh bhī intihā hogī
yā hamesha sitam kareñge aap
muntazir haiñ tumhāre muddat se
dekhiye ham se kab mileñge aap
dard nā-gufta-ba ho jab saaqī
vo suneñ bhī to kyā kaheñge aap