talāsh jis nuur kī hai tujh ko chhupā hai tere badan ke andar
zuhūr-e-ālam huā usī se vo hai har ik jān-o-tan ke andar
tujhe ye be-sarfa jadd-o-kad hai kashākashī meñ bhī shadd-o-mad hai
nafas kī tujh ko agar madad hai safar hai is jā vatan ke andar
tujhe vahāñ se gurez o ram hai talāsh ab āhū-e-haram hai
chalā hai vo raah jo bharam hai, hai mushk-e-nāfa ḳhutan ke andar
jahāñ meñ saarā hai nuur terā har ek shai meñ zuhūr terā
magar taḳhayyul hai duur terā paḌā hai bait-ul-huzan ke andar
tū hī muhaqqiq tū hī mujaddid banā hai tū aap hī muqallid
tū rasm-o-rah kā huā muqayyad phañsā hai ḳhud mā-o-man ke andar
qadīm vīrāñ-kada hai hastī samajh ise hai fanā kī bastī
ye terī himmat kī sab hai pastī zubūñ hai dahr-e-kuhan ke andar
ajiib ahmaq hai aur saada savār ho kar huā piyāda
kidhar chalā ye nahīñ hai jaada tū kyuuñ bhaTaktā hai ban ke andar
ye ātish-e-ishq kī hai jiddat ki dil meñ paidā huī hai riqqat
ye soz-e-ġham kī milī hai lazzat maza hai dil kī jalan ke andar
huā hai mast-e-sharāb-e-gulgūñ akaḌ rahā hai vo sarv-e-mauzūñ
dikhā ke ham ko ye jām-e-vāzūñ ḳhajil kiyā anjuman ke andar
huā hai sarshār vahm-e-'sāqī' tujhe nahīñ shauq-e-vasl baaqī
havā-e-duniyā kā hai mirāqī paḌā hai āvāgavan ke andar