jo bashar har vaqt mahv-e-zāt hai
qalb us kā lam-yazal mir.āt hai
jis ko shaġhl-e-nafī-o-isbāt hai
vo hī sāhib-dil hai ḳhush-auqāt hai
sahv hotā hai kabhī hotā hai mahv
kyā maze kā apnā ye din-rāt hai
nā-murād-e-dahr fard-e-dahr hai
vo jahāñ meñ qāzī-ul-hājāt hai
hoñ sifāt-e-nafs jis ke qalb-e-rūh
vo bashar kab hai vo husn-e-zāt hai
sāhab-e-nisbat kā rutba hai buland
garche zāhid sāhabudda.avāt hai
bast meñ jab qabz kā daura huā
hai qayāmat naza.a kī sakrāt hai
vo ta.ayyun hī ke phande meñ rahā
jo yahāñ pābañd-e-mahsūsāt hai
muġhbacho ho jaao tum bhī be-niyāz
pīr-e-muġh to qibla-e-hājāt hai
ham bhī haiñ 'sāqī' talāsh-e-yār meñ
vo jo mil jaa.e to phir kyā baat hai