Pandit Jawahar Nath Saqi

jalwa-e-didar to ek baat hai

Pandit Jawahar Nath Saqi

jalva-e-dīdār to ik baat hai
lan-tarānī āshiqoñ kī ghaat hai
āshnā jis kā hai tū ārām-e-jāñ
vo jahāñ meñ morid-e-āfāt hai
bosa-e-ruḳh de zakāt-e-husn hai
ai hasīñ ye dāḳhil-e-hasnāt hai
ā.ina-ḳhāna banā hai merā dil
dekh le kyā ḳhushnumā mir.āt hai
jān-o-dil thā nazr terī kar chukā
tere āshiq kī yahī auqāt hai
girya-e-ushshāq par haiñ ḳhanda-zan
kahte haiñ kyā ḳhushnumā barsāt hai
hijr kī shab hai hujūm-e-sad-balā
maiñ huuñ tanhā aur ḳhudā kī zaat hai
ḳhātma-bil-ḳhair ho jaa.e kahīñ
sharm apnī ab ḳhudā ke haath hai
zindagī hai chaar din kī chāñdnī
phir vahī 'sāqī' añdherī raat hai
Top Urdushayar.com