vahī zid un ko hai vahī hai haT
un kī chāhī nahīñ hai ye jhanjhaT
paañv kī mere jo sunī aahaT
hue dāḳhil makān meñ jhaT-paT
shoḳh kitnā kiyā hai pīr-e-muġhāñ
muġhbache ho ga.e baḌ muñh-phaT
koī pahlū nazar nahīñ aatā
dekhiye baiThe uuñT kis karvaT
yaad karte nahīñ kabhī vo hameñ
naam kī un ke haañ lagī hai raT
zeb-e-mahfil hai māh-ruḳh merā
har taraf hai sitāroñ kā jhurmuT
jalva-gah meñ ajab karishma hai
yaad karte hī aa ga.e jhaT-paT
jalva-farmā vo gul hai gulshan meñ
har ravish par lage hue haiñ ThaT
in ko parde meñ bhī hijāb rahā
hai numāyāñ naqāb meñ ghuñghaT
nāla-e-dil charāġh-e-raushan hai
koh-e-ātish-fashāñ kī hai ye lipaT
bāda-e-nāb qismat-e-aġhyār
'sāqī'-e-zār ko mile talchhaT