Pandit Jawahar Nath Saqi

dagh-e-gham-e-firaq miTaya na jaega

Pandit Jawahar Nath Saqi

dāġh-e-ġham-e-firāq miTāyā na jā.egā
jaltā huā charāġh bujhāyā na jā.egā
insāf apnā dāvar-e-mahshar se ho to ho
qaziya kisī se dil kā chukāyā na jā.egā
roko na chashm-e-shoḳh ko merī taraf se tum
āñkheñ haiñ dil nahīñ ki milāyā na jā.egā
hai dil meñ un ke ġhair kī sūrat basī huī
dil meñ bhī ab to un ko biThāyā na jā.egā
hai terī yaad dil meñ mare naqsh-kal-hajar
dil se tirā ḳhayāl miTāyā na jā.egā
'sāqī' hai tum ko milne kī jis gul kī aarzū
us se sar-e-mazār bhī aayā na jā.egā
Top Urdushayar.com