tū hī anīs-e-ġham rahā nāla-e-ġham-gusār-e-shab
yās-pasand jab huā bismil-e-intizār-e-shab
rañg-e-shikast kyuuñ na ho hāl-e-umīd-vār-e-shab
tū hī to ishva-gar huā bā.is-e-intishār-e-shab
shauq-e-liqā-e-rū-e-yār chashm-ba-rāh-e-intizār
āh-e-sahar se jā milā dīda-e-ashk-bār-e-shab
dard-e-shakeb-soz hai karb vahī hanūz hai
dekh na ho vo bevafā aaj kahīñ nisār-e-shab
lail-o-nahār sāzgār apne kabhī nahīñ hue
dekhte kaash ai nigār va.ada-e-ustuvār-e-shab
bahr-e-ḳhudā kabhī to kar shaad shahīd-e-shauq ko
roz-e-sa.īd hai vahī yaar jo tū ho yār-e-shab
vaqfa-e-umr ek dam haif hai vo bhī sarf-e-ġham
kis ko hai e'timād-e-roz kis ko hai e'tibār-e-shab
din ko ḳhayāl vasl kā raat ko dard-e-hijr hai
shaġhl vo roz kā huā aur ye kārobār-e-shab
ye shab-e-māhtāb hai saaf hameñ javāb hai
māh-laqā haiñ muntazir mil ke dikhā bahār-e-shab
hasrat-e-ishtiyāq ne aaj kiyā shahīd-e-hijr
mere dil-nigār kā dekh to le mazār-e-shab
bāb-e-qubūl-e-mudda.ā dā.ī-e-ḳhair hai tirā
ho dil-e-shab meñ nāla-kash ai dil-e-be-qarār-e-shab
ab nahīñ vaqf-e-intizār raat ko mil gayā nigār
merā karīm-e-kār-sāz ho gayā pardār-e-shab
dam-kash-e-aish-o-ḳhurramī thā ye firāq-e-sonā-soz
daur-e-nashāt ho gayā shukr hai ham-kanār-e-shab
ba.ad-e-firāq rañg-e-vasl hotā hai ain imbisāt
merā vo rāhat-e-ravāñ dil se huā do-chār-e-shab
is kā shi.ār kyuuñ na ho pās-e-hijāb-e-āshiqāñ
shab hai hamārī rāzdāñ ham jo haiñ rāzdār-e-shab
chhup na sakā hijāb meñ ishva-e-husn-e-ḳhud-numa
aayā jo maah oḌh kar chādar-e-zar-nigār-e-shab
jaam sharāb-e-shauq kā detā hai shoḳh māh-rū
mast-e-surūr kyuuñ na hoñ 'sāqī' mai-gusār-e-shab